Teri baaho me aaj mujhe bikhar jane de,
Mehakti huyi sanso me mujhe utar jane de,
Tanha hain raat aur mosam sard hain,
Apni saanso me aaj mujhe mahak jane de,
Khawabo me tere mujhe aaj behak jane de..
Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jaun,
Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jaun,
Main Aap Ki Zindagi Ki Khushi Banu Ya Na Ban Sakun,
Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jaun.