Aasuon ki bunde hain, Ya ankhon ki nami,
Lagta hai na upar aasman hain, na niche zameen.
Ye kaisa mod hain zindagi ka,
Ussi ki hi zarurat hain aur ussi ki kami..
Jiski jhalak mein karar bahut hai ,
Uska milna dushwar bahut hai ,
Jo mere hatho ki lakiron mein nahi
Mujhe osi se pyaar bahut hai ,
Jisko mere dil ka raasta bhi maloom nahi
Dhadkanon ko phir bhi uska intezaar bahut hai ..