Posted inRomantic Shayari

New Year Shayari For Girlfriend And Boyfriend In Hindi

New Year Shayari For Girlfriend And Boyfriend In Hindi


New Year Shayari For Girlfriend And Boyfriend In Hindi

 

1) New Year Shayari For Girlfriend in Hindi

Tere hothon ki hansi kabhi kam na ho,
Esa koi pal na aye jab ek duje ke hum na ho,
Saalo saal badta jaye pyar apna kisi nashe ki tarha
Or Ye nasha kabhi kam na ho.

Happy New Year My Love !

 

2) New year Shayari For Boyfriend In Hindi

Teri zindagi ko sajaye rakhun har saal ki tarah,
Tujhe apna banaye rakho har saal ki tarah,
Is saal tujhpe lauta ke sari khushiyan
Tujhe hi apna saya banaye rakhun har saal ki tarah.

Happy New Year My Sweetheart !

 

3) Best New Year Love Shayari In Hindi For Gf

Naya saal mubarak ho pyar ke jaam ke sath,
Yu hi humesha bana rahe tera mera sath,
Na ho kabhi dur hum ek duje se
Or salo nhi janmo rahe ek duje ke pas.

 

4) Romantic New Year Love Shayari For Bf In Hindi

Tera hona pyar ki tarah,
Dil ko chhuta hai har bar ki tarah,
Is naye saal bhi bana rahe rishta apna
Atoot har saal ki tarha.

Happy New Year Dear !

 

Read More: New Year Shayari Wishes Sms For Friends In Hindi

 

5) Romantic New Year Shayari In Hindi For Love

Ek or nai shuruwat is saal ke sath,
Beete saal ki tarah rakhege tujhe dil ke paas,
Tere har lamhe me khushiyan bhar jaye
Karnge kuch mohabbat itni khaas.

Happy New Year My Jaan !

 

6) Romantic New Year Shayari For Gf Bf In HIndi

Apni aankhon ka hume khwaab bana lo,
Dil mein hamari jagah kuch khaas bana lo,
Is saal kar ke mohabbat ki shurwat
Or is mohabbat ko janmo ka sath bana lo.

Wish you a very Happy New Year My Love !

 

7) Pyar Bhari New Year Shayari  In Hindi

Chulbula ho pyara ho,
Aane wala saal bas hamara ho,
Ham jeeye dil tumhara le kar
Or tumhare paas dil hamara ho.

Happy New Year Jaan !

 

8) New Year Love Shayari In Hindi For Gf Bf

Ibaadat meri itni puri ho jaye,
Naye saal par chahate teri puri ho jaye,
Tere labo par rahe humesha muskaan
Or ghamo se teri duri ho jaye.

Happy New Year Sweetheart !

 

9) Romantic Propose  New Year Shayari For Gf Bf

Dil ki baat dil se sun le,
Naye saal par naye khawb bun le,
Mere dil ne to chhun liya tujhko
Der na kar tu bhi mujhko chhun le.

Happy New Year My Love !

 

Read More : Happy New Year Shayari Wishes Sms In Hindi

 

10) Naye Saal Ki Shayari For Boyfriend In Hindi

Saal naya hai par khwahish purani hai,
Yeh kudi teri aaj bhi deewani hai,
Kahi beet na jaye ye moka
Dil ki baat aaj hi tujhe batani hai.

Happy New Year Shayari Dear !

 

Posted inLove Shayari

Romantic Love Sms Shayari In Hindi For Gf Bf

Romantic Love Sms Shayari For Girlfriend Boyfriend


Romantic Love Sms Shayari In Hindi For Girlfriend Boyfriend With Romantic Couple Image

 

1) Romantic Love Sms In Hindi

Seene se laga kar tujh aarzoo bana loon aaj,
Khushboo bana tujh saason mein basa loon aaj,
Mita ke fasle dono ke darmiyaan
Le tujh bahon mein apna bana loon aaj.

 

2) Best Love Sms In Hindi For Girlfriend

Mile jo aap kuch kaas mila hume,
Tanha zindagi mein ek khubsurat sath mila hume,
Jis pyar ki hoti hai sab ko apni zindagi me chahat
Bas wohi pyar ka ehsaas aaj mila hume.

 

3) Very Romantic Love Shayari For Boyfriend In Hindi

Aaj labon ko labon se chhu jane do,
Aaj bahon mein tumhari simat jaane do,
Roko na toko naa aaj humko
Bas mohabbat mein doob jane do.

 

Check More: Romantic Shayari For Girlfriend Boyfriend

 

4) True Love Shayari Sms In Hindi For GF Bf

Ishq hai tum se zindagi se jada,
chahat hai tumhari khud se jada,
Aazmana ho to aazma lo
Meri zindagi mein kuch nhi tum se jada.

 

Romantic Love Sms Shayari In Hindi For Gf Bf

 

5) Latest Two line Short Love Sms In Hindi For Boyfriend

Louta ke mohabbat bas itna chahau mein,
Mein khud ki na rahu bas teri ho jau mein.

 

6) Hindi Romantic Shayari Specially For Love

Ankhon se Ankhe mila aitbar kar loon,
Sanam tujhe bepanha pyar kar loon,
Bandh loon is pal ko pyar mein
Or mohabbat beshumar kar loon.

 

7) Romantic Shayari For Girlfriend Boyfriend

Har ghadi sath tum rho hamare,
Har lamha bas aise raho jaise tum ho bas hamare,
Tum nhi to ab kuch nhi
Na jeeni ab ye zindagi bin tumhare.