Posted inDosti Shayari

Best Miss You Shayari for Friends in Hindi

Best Miss You Shayari for Friends in Hindi: Heart Touching Yaari Status & School/College Friends Quotes

Zindagi ki bhagam-bhag mein hum aage toh badh jaate hain, lekin doston ke saath bitaye wo haseen pal hamesha dil ke kone mein base rehte hain. Kabhi school ki masti toh kabhi college ki canteen wali chai—doston ki yaad har mod par aati hai.
Agar aap bhi apne doston ko miss kar rahe hain aur unhe batana chahte hain ki unki jagah koi nahi le sakta, toh hum lekar aaye hain Best Miss You Shayari for Friends. In shayaris ko aap apne WhatsApp Status, Instagram Stories ya doston ke group mein bhej kar purani yaadein taaza kar sakte hain.

 

Miss You Shayari For Friends

 

1) Emotional Miss You Shayari for Friends in Hindi

Wo bematlab ki baatein
Wo gaane gungunana,
Yaad aata hai dosto
Wo sath tumhare shaam beetana.

Miss You Dear Friends

 

2) Latest “Masti-Mazak” Yaad Shayari for Friends

Wo roado par gadi bhagana,
Masti maza wo shor machana,
Yaad aata hai mujh ko bada
Dosto ke sath lamho ko beetana.

Miss You Dosto

 

3) Heart-Touching Miss You Shayari for School Friends

Wo akhri bench par baith ke khilkhilana hota tha,
Wo chupke chupke baatein karna or khana khana hota tha,
Bade yaad ate hai wo school ke yaar
Jinke sath saza mein ek line se khade ho jana hota tha.

 

Check More: Good Evening Shayari For Friends

 

4) Miss You Shayari For For College Friends

Classes ko chhod college ke chakkar mara karte the,
Hum dost canteen mein ja kar bas phail jaya karte the,
Yaad aate ab sare yaar
Ek wo hi to the jo din ko mazedaar banaya karte the.

 

5) New “Canteen Wali Chai” Shayari for Friends

Canteen ki chai amrit hua karti thi,
Yaaro ke sang kya khoob mehfil hua karti thi,
Yaad aate hai wo sab mere yaar
Jinke sath hi subha se shaam hua karti thi.

Miss You Yaaro!

 

Posted inDosti Shayari

Sad Matlabi Dosti Shayari In Hindi

Sad Matlabi Dosti Shayari With Image


Sad Matlabi Dosti Shayari In Hindi

 

1) Sad Dosti Shayari In Hindi

Dost nhi sache dost hote hai,
Sathi nhi wo mushkil daur ke hote hai,
Sath nibhate hai wo jab unhe zarurt hoti hai
Baad mein to hum bas unke liye ek anjaan hote hai.

 

2) Touching Sad Dosti Shayari On Matlabo Dost

Jhuti dosti jhute sare dost hote hai,
Kisi khas kaam se bane sab dost hote hai,
Jinhe samjhte hai ap apna sab kuch
Matlab se bhare wo sab dost hote hai.

 

3) Matlabi Dosti Shayari Sms In Hindi

Sathi apna samjh kar jise hum sab kuch bata dete hai,
Wohi dost baatein sari logo mein faila dete hai,
Jis dosti ko hum bandhte rehte hai rishto ke dhago se
Wo hi samye aane per humko bhula dete hai

 

4) Very Sad Dosti Shayari In Hindi On Friends

Koi ab nhi sath hamare,
Shayad rehna nhi chahat koi paas hamare,
Hum bata dena chahate hai sab logo ko
Ki yeh jhut hota hai ki dost hote hai sab se pyare.

 

Check More: Yaari Dosti Shayari In Hindi

 

5) True Sad Shayari On Matalbi Hote Hai Dost

Matlab ke hote hai sare dost,
Sab bante hai matlab se pyare,
Samye anne par rang badal dete hai
Ye dost sare ke sare.