Posted inDosti Shayari

Friendship Anniversary Shayari Messages in Hindi

Friendship Anniversary Shayari Sms In Hindi

True friendship is a rare blessing, and completing another wonderful year together deserves a special celebration. Expressing your heartfelt gratitude to your best friend can make your bond even stronger. In this ultimate collection, we have curated the best friendship anniversary shayari in Hindi and funny SMS status updates. Share these sweet lines to celebrate your special yaari today!

 

Friendship Anniversary Shayari Messages in Hindi

 

1) Friendship Anniversary Shayari For Best Friend (बेस्ट फ्रेंड के लिए दोस्ती की सालगिरह शायरी)

Dosti ki salgirah mubarak ho,
Ase he mazboot apni yaari rahe,
Aaye or jaaye chahe kitne log
Par sab se pyari apni yaari rahe.

Happy Happy Friendship Anniversary My Friend

 

2) Dosti Ki Salgirah Shayari In Hindi (दोस्ती की सालगिरह पर प्यारी शायरी)

Jese beete sare saal,
Wese aane wale saal bitayenge,
Dost tujhko hum
Khud ki jaan se jyada chahenge.

Dosti Ki Salgirah Mubarak Ho

 

3)  Best Friendship Anniversary Sms Shayari For Dost (सच्चे दोस्त के लिए सालगिरह मैसेज)

Khuda ne hume tumse milaya,
Tumse mila kar khushnaseeb banaya,
Sari duniya mein special ban gaye hum
Jo tum jaisa ek acha dost humne paya.

 

Happy Friendship Anniversary Shayari

 

4) Funny Friendship Anniversary Shayari (दोस्त के लिए फनी एनिवर्सरी शायरी)

Saalo saal na chhute,
Yarana apna kabhi na tute,
Chahe aa jaye kaisi bhi nobat
Chahe baap apna kitna bhi koote.

Happy Friendship Anniversary Dost

 

5) Latest Friendship Ki Anniversary Shayari (यारी की सालगिरह पर लेटेस्ट शायरी)

Saal Aate or jaate rahenge,
Khani apni yaari ki log banate rahenge,
Bata ke sache dost apen dono ko
Khani dekhna apne bacho ko sunate rahenge.

 

Check More:

 

Posted inDosti Shayari

Best Miss You Shayari for Friends in Hindi

Best Miss You Shayari for Friends in Hindi: Heart Touching Yaari Status & School/College Friends Quotes

Zindagi ki bhagam-bhag mein hum aage toh badh jaate hain, lekin doston ke saath bitaye wo haseen pal hamesha dil ke kone mein base rehte hain. Kabhi school ki masti toh kabhi college ki canteen wali chai—doston ki yaad har mod par aati hai.
Agar aap bhi apne doston ko miss kar rahe hain aur unhe batana chahte hain ki unki jagah koi nahi le sakta, toh hum lekar aaye hain Best Miss You Shayari for Friends. In shayaris ko aap apne WhatsApp Status, Instagram Stories ya doston ke group mein bhej kar purani yaadein taaza kar sakte hain.

 

Miss You Shayari For Friends

 

1) Emotional Miss You Shayari for Friends in Hindi

Wo bematlab ki baatein
Wo gaane gungunana,
Yaad aata hai dosto
Wo sath tumhare shaam beetana.

Miss You Dear Friends

 

2) Latest “Masti-Mazak” Yaad Shayari for Friends

Wo roado par gadi bhagana,
Masti maza wo shor machana,
Yaad aata hai mujh ko bada
Dosto ke sath lamho ko beetana.

Miss You Dosto

 

3) Heart-Touching Miss You Shayari for School Friends

Wo akhri bench par baith ke khilkhilana hota tha,
Wo chupke chupke baatein karna or khana khana hota tha,
Bade yaad ate hai wo school ke yaar
Jinke sath saza mein ek line se khade ho jana hota tha.

 

Check More: Good Evening Shayari For Friends

 

4) Miss You Shayari For For College Friends

Classes ko chhod college ke chakkar mara karte the,
Hum dost canteen mein ja kar bas phail jaya karte the,
Yaad aate ab sare yaar
Ek wo hi to the jo din ko mazedaar banaya karte the.

 

5) New “Canteen Wali Chai” Shayari for Friends

Canteen ki chai amrit hua karti thi,
Yaaro ke sang kya khoob mehfil hua karti thi,
Yaad aate hai wo sab mere yaar
Jinke sath hi subha se shaam hua karti thi.

Miss You Yaaro!