Awesome Hindi Love Shayari

Love Shayari On Teri Muhabbat


Awesome Love Shayari In Hindi

Teri muhabbat mere naam karlun to main chalon…
Tere dil mein apna muqaam karlun to main chalon…

Abhi to bas qadam rakha hai muhabbat mein humne…
Ulfat mein khud ko badnaam karlun to main chalon…

Hamare tarruf ki parwaah kise hai teri mehfil mein…
Sar-e-bazm tujh ko salaam karlun to main chalon…

Honton ka kamaal to jante hai,aankhon ka huner dekho…
Izhaar-e-muhabbat sar-e-aam karlun to main chalon….

Saaqii tere jalwon ki numaish ke charche khoob hain…
Deedar se tere par kasaa-e-jaam karlun to main chalon….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *