Sad Love Shayari

Sad Love Shayari On Guzrey Waqt Ko


Sad Love Shayari

Guzare waqt ko bhula dena bhi aasaan nahi hota,
Ghamon ko hansi mein chupa lena bhi aasaan nahi hota

Zaroori nahi ke poori ho har khawahish lekin,
Apni khwahish ko daba lena bhi aasaan nahi hota,

Mana ke toote huye pholon se khushboo nahi aati,
Magar unhe kitabon mein saja lena bhi aasaan nahi hota,

Koi aur tere baad aa sakta ho shayad,
Magar har kisi ko dil mein jagah dena bhi aasaan nahi hota..

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *